Aaj hum aapko image me likhe huye text ko word file me convert karne ka tarika batane vale hai. Kabhi kabhi hume image me likhi hui kuch bat ya text pasand aate hai aur hum es image ko apne pas save karke rakh lete hai aur kabhi bhi upload kar dete hai agar aap es image ko upload nahi karna chahte hai balki usme likhe hue sirf text/word ko hi upload karna chahte hai to iske liye hume image me likhe text ko type karna padta hai magar aaj mai esi technique batane vala hu jiski help se hum image me likhe hue words ko text file jaise- simple notepad, msword, pdf file me online convert kar sakte hai. Online image ko text format me convert karne par image/jpg file me printed  chije text ya word me convert ho jayegi.

image-file-text-word-me-convert-kaise-kare

Image ko Word file me Convert kaise karte hai?

1. Online OCR.Net ki help se text scan file ko text file me convert kaise kare?

Image file ko text file me convert karna bahut hi aasan hai iske liye apko jyada kuch karna ki jarurat nahi hai bas hamari batai gayi steps ko follow karte jaye aur kuch hi seconds me image me likhe font ek text/word file me convert ho jayenge.

Step1: Apne mobile ya computer me browser open kare aur online image to text converter ki site par jaye aur image file ko select kar upload kare. Go to Site
Step2: Next step me Output language vo format language select kare jisme aap text ka output chahte hai.
Step3: Ab last step me Convert button par click kare.
Kuch hi seconds me image me likhe huyi file ke text ek text file format me change ho jayenge aur phir aap ise download kar payenge aur kahi bhi use kar sakte hai.

2. New OCR ki help se Text jpg, png, gif file ko text me convert kaise karte hai?

Online New Ocr website jpg, png, gif, bmp, tiff, pdf yani ke lagbhag sabhi files format ko support karti hai jiski help se hum badi hi aasani se image me printed text ko word/text file me convert kar sakte hai aur kabhi bhi text file ko edit kar sakte hai. new ocr se file convert kaise karte hai janne ke liye hamari process ko follow kare.

Step1: New ocr ki site par jaye aur apni file upload kare.
Step2: ab ocr par click kare aur click karne ke baad apko image ka area select karne ke liye kaha jayega text me convert karne ke liye area select kare aur phir left side me niche ki aur dikh rahe Download button me plain tex/pdf/msword file select kare.

Aap jis tarike ka format select karoge us format me file download hogi. Aapko hamari yeh post kesi lagi hume comment karke jarur bataye.
Thank You

Hi friends, Aaj hum aap logo ko android mobile kisi bhi video apne name kaise lkhte hai sikhane vale hai. Agar aap apne video ka promotion karna chahte hai aur logo par es video ke sath apne channel ki chhap chodna chahte hai to aapko apni video me apna ya apne channel ka name jarur likhna chahiye. agar video me channel ka name likhte hai to users video me show ho rahe name ko search karke aap tak badi aasani se pahuch sakte hai. Video me apne name ya channel ka tag rakhne se popularity badhegi aur user ki quantity bhi badhegi, video me text tag use karke hum apni video ko copy hone se bacha sakte hai.

  Pahle video me name/text tag use karna thoda muskhil tha kyonki us time android mobile phones me itne apps aur facality nahi thi lekin ab hum badi hi aasani se apne android mobile se video me apne  text ka tag use kar sakte hai aur apni video ka promotion kar sakte hai. Es post me hum apko video par name likhna batayenge.

mobile-se-video-par-name-kaise-likhe

Android mobile se video par apna name kaise likhe?

Video par name likhne ke liye apko pahle mobile me video par name likhne vala App-Kinemaster  download and install karna hoga uske bad aap kisi bhi video par text likh sakte hai.
Step1: Play store se Kinemaster download kare aur open kare.
Step2: Ab niche image me dikhaye anusar Project ko click kare aur Empty project select kare.

android-mobile-se-video-par-name-kaise-likhe

Step3: Ab Media dutton par click karke video select kare phir layer par click kare. layer me Apko Text par click karna hai jisse ek text box open hoga. Iski help se hum video par jo bhi name likhna chahte hai type karke likh sakte hai.

video-par-text-kaise-likhe


Step4: ab aap dekh sakte hai video par text tag show ho raha hoga aap chahe to resize icon se pakd kar  text ko chota-bada kar sakte hai aur niche ki side video duration ko select karke text tag ki timing ko bhi fix kar sakte hai sab kuch setup karne ke bad me Done par click kare.

Step5: Ab left side me 3 number par show ho rahe hai share button par click kare jisme hume Save Video to Gallery milega ko click kare aur phir Water mark removal ko No thanx kare phir video quality select kare ab kuch hi der me text add kari video save ho jayegi.

To dekha dosto es tarike se hum android mobile ki help se kisi bhi video par text name likh sakte hai. apko hamari post kesi lagi hume comment karke jarur bataye aur ise apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Dosto Google hamare mobile, computer me search kiye sare records apne pas save rakhta hai aur hamare dvara padhe aur dekhe ja rahe content ke aadhar par hume content show karta hai agar hamare mobile ya computer device google account se login hai to google hamare search result history ke sath me hamare computer aur mobile ki location ko bhi trace karke rakhta hai jiski help se hum google account login device ki location ka pata bhi kar sakte hai. Google hamare account ko data save karke rakhta hai jise hum history kahte hai to dosto es post me hum aapko google search ka record clear karne ke bare me batane vale hai.
Agar hum browser se search history delete kar bhi dete hai to google apne records me search history ko apne pas save rakhta hai jise hum jarurat padne par kabhi bhi delete kar sakte hai. 


google-search-record-clear-kaise-karte-hai

Google Search Engine ki history delete kaise karte hai?

Google account ki search history delete karna bahut hi easy hi hum kisi bhi device me login karke apne account ki history ko check kar sakte hai aur hamare dvara search kiye gaye content ko dekh satke hai.
Mostly computer and mobile user apne device me chrome ka use karte hai aur hamara Android mobile bhi Google ki gmail id se hi login karta hai jisse Google hamare mobile, account id ko trace karke rakhta hai aur hamari history ko apne pas save rakhta hai. Es post me hum aapko google search engine me search ki gayi quires ko delete karne ke bare me batane vale hai.

Step1: Search Engine ki history delete karne ke liye history.google.com par jaye aur apne email account id aur password se login kare.
Step2: login karne ke baad me hum apne account se login device me search kiye gaya complete data show hoga. Aap chahe to Filter ka use karke mobile, computer me search data ko category me bat karke day, date, product list me dekh sakte hai.

google-search-history-delete-kaise-kare

Step3: ab jis bhi searched data ko delete karna hai uske piche dikh rahe 3dot par click kare tab isme 2 option milenge detail aur Delete tab Delete par click kare.

Es tarike se hum google me search ki gayi history ko delete kar sakte hai. Aap chahe to Delete Activity ki help se login account aur device ki jankari ko bhi delete kar sakte hai.